سانس کی آگ میں ہر دم جلنا، یہ جیون ہے

466
Lost Mine 1959 Peter Lanyon 1918-1964 Purchased with funds provided by the Helena and Kenneth Levy Bequest 1991 http://www.tate.org.uk/art/work/T06467

saans ki aag mein her dam jalna yeh jeewan hay | سانس کی آگ میں ہر دم جلنا، یہ جیون ہے

Saans Ki Aag MeiN Her Dum Jalna, Yeh Jeewan Hay
Laikin Phir Bhi Zindah Rehna, Yeh Jeewan Hay

Her Khawahish Ki Khatir Merna, Yeh Jeewan Hay
Laikin Phir Bhi Zindah Rehna, Yeh Jeewan Hay

Aankh To Chahey Aansoo Saray Ghum Dho DaLeiN
Laikin Aansoo Rokay Rakhna, Yeh Jeewan Hay

Umr Ko Jaatay Daikhna Roz-e Nau Ki Soorat
Aur Phir Kutch Bhi Ker Na Sakna, Yeh Jeewan Hay

Apni Samajh MeiN Her Ik Shakhss Say Aagay Hona
Laikin Phir Bhi Peechay Hona, Yeh, Jeewan Hay

Uss Ki Kami Ko Dil Say Bhulanay Ki Khatir Tum
ALI Yeh Dil Say Kehtay Rehna, Yeh Jeewan Hay

 


Copyright © 1998 Muhammad Ali Khan. All Rights Reserved.